bataen kya ki kitna jaante hain
batā.eñ kyā ki kitnā jānte haiñ
tumheñ tum se ziyāda jānte haiñ
ḳhamoshī se ayaañ hotā hai un kī
vo apnī baat kahnā jānte haiñ
bahut paḌh kar huā ye ilm ham ko
ki ham kitnā zarā sā jante haiñ
qalam kāġhaz hamāre sher aur tum
use ham apnī duniyā jānte haiñ
ham aa jaate haiñ aksar apne aage
magar ham bach nikalnā jānte haiñ
pata hai rūThne vaale ko 'āsif'
ki ham rishte nibhānā jānte haiñ
bataen kya ki kitna jaante hain
tumhein tum se ziyaada jaante hain
KHamoshi se ayan hota hai un ki
wo apni baat kahna jaante hain
bahut paDh kar hua ye ilm hum ko
ki hum kitna zara sa jante hain
qalam kaghaz hamare sher aur tum
use hum apni duniya jaante hain
hum aa jate hain aksar apne aage
magar hum bach nikalna jaante hain
pata hai ruThne wale ko 'asif'
ki hum rishte nibhana jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.