batana gar dikhen tumko bhaTakte panw ke chhaale
batānā gar dikheñ tum ko bhaTakte paañv ke chhāle
ka.ī barsoñ se ġhā.eb haiñ hamāre paañv ke chhāle
falak ke paar darashi farsh par kab se khaḌā koī
sitāre lag rahe haiñ jo haiñ us ke paañv ke chhāle
kisī ke paañv meñ sūkhe kisī kī aañkh ke aañsū
kisī kī aañkh meñ phūTe kisī ke paañv ke chhāle
batana gar dikhen tum ko bhaTakte panw ke chhaale
kai barson se ghaeb hain hamare panw ke chhaale
falak ke par darashi farsh par kab se khaDa koi
sitare lag rahe hain jo hain us ke panw ke chhaale
kisi ke panw mein sukhe kisi ki aankh ke aansu
kisi ki aankh mein phuTe kisi ke panw ke chhaale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.