batao dar daricha baam kya hai
batāo dar darīcha baam kyā hai
tumhāre naam kā hamnām kyā hai
tumhārī zulf ke saa.e meñ dekhā
hamārī sub.h kyā hai shaam kyā hai
bhale hai maut kā ik din muayyan
hamāre sar magar ilzām kyā hai
mohabbat kā agar āġhāz ġham hai
mohabbat kā batā anjām kyā hai
kisī andhe kī lāThī ne dikhāyā
sitāroñ se falak ko kaam kyā hai
batao dar daricha baam kya hai
tumhaare nam ka hamnam kya hai
tumhaari zulf ke sae mein dekha
hamari subh kya hai sham kya hai
bhale hai maut ka ek din muayyan
hamare sar magar ilzam kya hai
mohabbat ka agar aaghaz gham hai
mohabbat ka bata anjam kya hai
kisi andhe ki laThi ne dikhaya
sitaron se falak ko kaam kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.