batao hath mein ulfat ka jam kis ka tha
batāo haath meñ ulfat kā jaam kis kā thā
tumhāre raaj bhavan meñ qayām kis kā thā
bhagā ke tum nahīñ laa.e the gar raqīban ko
to phir police ke register pe naam kis kā thā
tumheñ navāzā hai sab mere maike vāloñ ne
tumhāre ghar meñ ye sab tām-jhām kis kā thā
jise bazār se dilvā ke laa.e ho toffē
maiñ jāntī huuñ vo sūrat-harām kis kā thā
maiñ apne un se muḳhātib huuñ aur kis se nahīñ
mushā.ere meñ paḌhā jo kalām kis kā thā
nikal ke aa.ī ho jis ghar se aaj ai 'sajnī'
batāo saaf vo bait-e-harām kis kā thā
batao hath mein ulfat ka jam kis ka tha
tumhaare raj bhawan mein qayam kis ka tha
bhaga ke tum nahin lae the gar raqiban ko
to phir police ke register pe nam kis ka tha
tumhein nawaza hai sab mere maike walon ne
tumhaare ghar mein ye sab tam-jham kis ka tha
jise bazar se dilwa ke lae ho toffee
main jaanti hun wo surat-haram kis ka tha
main apne un se muKHatib hun aur kis se nahin
mushaere mein paDha jo kalam kis ka tha
nikal ke aai ho jis ghar se aaj ai 'sajni'
batao saf wo bait-e-haram kis ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.