batā.ūñ kyā ki mere dil meñ kyā hai
sivā tere tirī mahfil meñ kyā hai
batā.ūñ kyā ki mere dil meñ kyā hai
tū hī tū hai bharī mahfil meñ kyā hai
kisī ke bujhte dil kī hai nishānī
charāġh-e-sarhad-e-manzil meñ kyā hai
ba-juz naqsh-e-pashemānī-e-qātil
nigāh-e-hasrat-e-bismil meñ kyā hai
jafāoñ kī bhī had hotī hai koī
ḳhudā mā'lūm us ke dil meñ kyā hai
ma.āl-e-hastī-e-mauhūm mā'lūm
'azīz' is shaġhl-e-lā-hāsil meñ kyā hai
bataun kya ki mere dil mein kya hai
siwa tere teri mahfil mein kya hai
bataun kya ki mere dil mein kya hai
tu hi tu hai bhari mahfil mein kya hai
kisi ke bujhte dil ki hai nishani
charagh-e-sarhad-e-manzil mein kya hai
ba-juz naqsh-e-pashemani-e-qatil
nigah-e-hasrat-e-bismil mein kya hai
jafaon ki bhi had hoti hai koi
KHuda ma'lum us ke dil mein kya hai
maal-e-hasti-e-mauhum ma'lum
'aziz' is shaghl-e-la-hasil mein kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.