bataun kya shab-e-furqat meri kaise sanwarti hai
batā.ūñ kyā shab-e-furqat merī kaise sañvartī hai
kabhī to huuk uThtī hai kabhī ro ro guzartī hai
udhar to Tiis uThtī hai idhar aañsū ubalte haiñ
usī dam kahkashāñ tāroñ se apnī maañg bhartī hai
junūn-e-jazba-e-ulfat kī betābi ma.āz-allāh
jo kam hotā hai dard-e-dil to phir vahshat ubhartī hai
mirī vāraftagī is jazba-e-dil kī qasam khā kar
mohabbat naam le kar bhī mohabbat hī se Dartī hai
tirā ye jazba-e-ulfat salāmat hī rahe har dam
mohabbat jab kabhī had se guzartī hai akhartī hai
are 'ġham' laġhzish-e-soz-e-jigar kā kaif kyā kahiye
zabāñ majbūr ho jaatī hai jab dil meñ utartī hai
bataun kya shab-e-furqat meri kaise sanwarti hai
kabhi to huk uThti hai kabhi ro ro guzarti hai
udhar to Tis uThti hai idhar aansu ubalte hain
usi dam kahkashan taron se apni mang bharti hai
junun-e-jazba-e-ulfat ki betabi maaz-allah
jo kam hota hai dard-e-dil to phir wahshat ubharti hai
meri waraftagi is jazba-e-dil ki qasam kha kar
mohabbat nam le kar bhi mohabbat hi se Darti hai
tera ye jazba-e-ulfat salamat hi rahe har dam
mohabbat jab kabhi had se guzarti hai akharti hai
are 'gham' laghzish-e-soz-e-jigar ka kaif kya kahiye
zaban majbur ho jati hai jab dil mein utarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.