bataun kya tumhein kis bojh se daba hua hun
batā.ūñ kyā tumheñ kis bojh se dabā huā huuñ
maiñ apne nafs kī tahzīb meñ lagā huā huuñ
bisāt-e-zīst agarche banī hai mere liye
magar piTā huā mohara bhī maiñ banā huā huuñ
yahāñ na chheḌ mire dost zikr-e-māzī ko
abhī to logoñ kī nazroñ meñ pārsā huā huuñ
zarā sā sabr khuleñge mire par-e-parvāz
nayā nayā qafas-e-ishq se rihā huā huuñ
kisī ke haath ke daav pe huuñ rakhā huā maiñ
kisī ke ḳhvāboñ kī had se bhī māvarā huā huuñ
mujhe na chheḌ ḳhudā ke liye na chheḌ mujhe
gale talak maiñ savālāt se bharā huā huuñ
maiñ jāntā huuñ 'qamar' kyā maqām hai merā
yahāñ buzurg nahīñ haiñ so maiñ baḌā huā huuñ
bataun kya tumhein kis bojh se daba hua hun
main apne nafs ki tahzib mein laga hua hun
bisat-e-zist agarche bani hai mere liye
magar piTa hua mohara bhi main bana hua hun
yahan na chheD mere dost zikr-e-mazi ko
abhi to logon ki nazron mein parsa hua hun
zara sa sabr khulenge mere par-e-parwaz
naya naya qafas-e-ishq se riha hua hun
kisi ke hath ke daw pe hun rakha hua main
kisi ke KHwabon ki had se bhi mawara hua hun
mujhe na chheD KHuda ke liye na chheD mujhe
gale talak main sawalat se bhara hua hun
main jaanta hun 'qamar' kya maqam hai mera
yahan buzurg nahin hain so main baDa hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.