bataun tujhe main ki kya chahta hun
batā.ūñ tujhe maiñ ki kyā chāhtā huuñ
tire dil meñ thoḌī sī jā chāhtā huuñ
na motor na bañgla na murġh-e-musallam
maiñ kuTiyā meñ saada ġhizā chāhtā huuñ
rahe hosh baaqī na jab us ko dekhūñ
maiñ dilbar meñ aisī adā chāhtā huuñ
bahut tez nafrat kī ye āñdhiyāñ haiñ
uḳhuvvat kī ThanDī havā chāhtā huuñ
gunāhoñ se kaalā ye dil ho gayā hai
'zakī' is maraz kī davā chāhtā huuñ
bataun tujhe main ki kya chahta hun
tere dil mein thoDi si ja chahta hun
na motor na bangla na murgh-e-musallam
main kuTiya mein sada ghiza chahta hun
rahe hosh baqi na jab us ko dekhun
main dilbar mein aisi ada chahta hun
bahut tez nafrat ki ye aandhiyan hain
uKHuwwat ki ThanDi hawa chahta hun
gunahon se kala ye dil ho gaya hai
'zaki' is maraz ki dawa chahta hun
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 90)
- Author : کوکب ذکی
- Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.