batlate hain sare manzar KHush hain sab
batlāte haiñ saare manzar ḳhush haiñ sab
andar se TuuTe haiñ bāhar ḳhush haiñ sab
TuuTī khaTiyā bistar kapḌe kaun rakhe
baañT ke apnī maañ ke zevar ḳhush haiñ sab
bāhar bāhar dukh merī barbādī kā
mujh ko patā hai andar andar ḳhush haiñ sab
dekh lo apnī pyaas chhupāne kā anjām
bol rahā hai ek samundar ḳhush haiñ sab
zaḳhmoñ se dukh-dard se lenā denā kyā
toḌ ke shīsha maar ke patthar ḳhush haiñ sab
batlate hain sare manzar KHush hain sab
andar se TuTe hain bahar KHush hain sab
TuTi khaTiya bistar kapDe kaun rakhe
banT ke apni man ke zewar KHush hain sab
bahar bahar dukh meri barbaadi ka
mujh ko pata hai andar andar KHush hain sab
dekh lo apni pyas chhupane ka anjam
bol raha hai ek samundar KHush hain sab
zaKHmon se dukh-dard se lena dena kya
toD ke shisha mar ke patthar KHush hain sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.