baur aaya hai ki ek shauq-e-numu bolta hai
baur aayā hai ki ik shauq-e-numū boltā hai
gul-e-pur-josh kī rag rag se lahū boltā hai
kitnī shīrīnī utar aa.ī hai lahje meñ mire
merī āvāz meñ lagtā hai ki tū boltā hai
terī ḳhāmosh-nigāhī ke takallum kī qasam
tū agar chup ho to ik ālam-e-hū boltā hai
karnī paḌtī hai bahut saut-o-sadā par mehnat
tab kahīñ jā ke tarannum meñ gulo boltā hai
sil gayā chāk-e-garebān magar baḳhiya-garo
ab jo bāzār meñ niklūñ to rafū boltā hai
baur aaya hai ki ek shauq-e-numu bolta hai
gul-e-pur-josh ki rag rag se lahu bolta hai
kitni shirini utar aai hai lahje mein mere
meri aawaz mein lagta hai ki tu bolta hai
teri KHamosh-nigahi ke takallum ki qasam
tu agar chup ho to ek aalam-e-hu bolta hai
karni paDti hai bahut saut-o-sada par mehnat
tab kahin ja ke tarannum mein gulo bolta hai
sil gaya chaak-e-gareban magar baKHiya-garo
ab jo bazar mein niklun to rafu bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.