bayaban-e-junun mein sham-e-ghurbat jab sataya ki
bayābān-e-junūñ meñ shām-e-ġhurbat jab satāyā kī
mujhe rah rah ke ai sub.h-e-vatan tū yaad aayā kī
nigāh-e-mast idhar merī taraf sharmā ke dekhā kī
udhar merī tamanna muztarib ho ho ke taḌpā kī
ab ahl-e-hosh ko farhād-o-majnūñ yaad aate haiñ
jo sach pūchho to dīvānoñ se ābādī thī sahrā kī
pahuñch to le tumhārī bazm meñ lailā kā dīvāna
nazar nīchī na hogī is tumhāre nām-levā kī
mohabbat aur kahte haiñ kise do dil ke milne ko
chalo bas ho ga.ī fursat na ham shākī na tum shākī
saf-e-āḳhir meñ huuñ lekin mujhe ye faḳhr kyā kam hai
tirī āñkhoñ ne itnī bhiiḌ meñ merī nazar taakī
jo kuchh jalve ke pīchhe thā vo ab āñkhoñ ke aage hai
kahāñ pohñchī nigāheñ aap ke mahv-e-tamāshā kī
chaman se toḌ lī thī ek murjhā.ī kalī maiñ ne
bas itnī baat par duniyā kī duniyā ho ga.ī shākī
ho mauqa' bhī to shān-e-‘ishq ko ye kab gavāra hai
ki terī be-ruḳhī se daad le apnī tamanna kī
barahman kī nazar mil jaa.e to dekheñ haram vaale
butoñ ke husn meñ parchhā.iyāñ us rū-e-zebā kī
bharā aatā hai dil us sham'-e-afsurda kī qismat par
sahar se shaam tak jo raah par vāloñ kī dekhā kī
sabhī tere fidā.ī haiñ magar ai naujavāñ qātil
ye 'bismil' hī pe kyoñ āḳhir tirī talvār chamkā kī
bayaban-e-junun mein sham-e-ghurbat jab sataya ki
mujhe rah rah ke ai subh-e-watan tu yaad aaya ki
nigah-e-mast idhar meri taraf sharma ke dekha ki
udhar meri tamanna muztarib ho ho ke taDpa ki
ab ahl-e-hosh ko farhad-o-majnun yaad aate hain
jo sach puchho to diwanon se aabaadi thi sahra ki
pahunch to le tumhaari bazm mein laila ka diwana
nazar nichi na hogi is tumhaare nam-lewa ki
mohabbat aur kahte hain kise do dil ke milne ko
chalo bas ho gai fursat na hum shaki na tum shaki
saf-e-aKHir mein hun lekin mujhe ye faKHr kya kam hai
teri aankhon ne itni bhiD mein meri nazar taki
jo kuchh jalwe ke pichhe tha wo ab aankhon ke aage hai
kahan pohnchi nigahen aap ke mahw-e-tamasha ki
chaman se toD li thi ek murjhai kali main ne
bas itni baat par duniya ki duniya ho gai shaki
ho mauqa' bhi to shan-e-‘ishq ko ye kab gawara hai
ki teri be-ruKHi se dad le apni tamanna ki
barahman ki nazar mil jae to dekhen haram wale
buton ke husn mein parchhaiyan us ru-e-zeba ki
bhara aata hai dil us sham'-e-afsurda ki qismat par
sahar se sham tak jo rah par walon ki dekha ki
sabhi tere fidai hain magar ai naujawan qatil
ye 'bismil' hi pe kyon aaKHir teri talwar chamka ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.