bayaban ko pashemani bahut hai
bayābāñ ko pashemānī bahut hai
ki shahroñ meñ bayābānī bahut hai
mire hañsne pe duniyā chauñk uTThī
mujhe bhī ḳhud pe hairānī bahut hai
chalo sahrā ko bhī ab āzmā.eñ
sunā thā ghar meñ āsānī bahut hai
ḳhudā mahfūz rakkhe fasl-e-dil ko
kahīñ sūkhā kahīñ paanī bahut hai
kahīñ bādal kahīñ peḌoñ ke saa.e
ujāloñ par nigahbānī bahut hai
bahaknā merī fitrat meñ nahīñ par
sambhalne meñ pareshānī bahut hai
bayaban ko pashemani bahut hai
ki shahron mein bayabani bahut hai
mere hansne pe duniya chaunk uTThi
mujhe bhi KHud pe hairani bahut hai
chalo sahra ko bhi ab aazmaen
suna tha ghar mein aasani bahut hai
KHuda mahfuz rakkhe fasl-e-dil ko
kahin sukha kahin pani bahut hai
kahin baadal kahin peDon ke sae
ujalon par nigahbani bahut hai
bahakna meri fitrat mein nahin par
sambhalne mein pareshani bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.