bayaban se aqidat thi bahut thi
bayābāñ se aqīdat thī bahut thī
bichhaḌ kar tujh se vahshat thī bahut thī
chune phir umr bhar ye zard patte
hameñ ġham se mohabbat thī bahut thī
jalā kar raakh kar Daalā hai dekho
vafā meñ us kī hiddat thī bahut thī
hare kartī rahī maiñ zaḳhm saare
mujhe aahoñ se raġhbat thī bahut thī
bikharnā ho gayā thā lāzmī yuuñ
tire lahje meñ naḳhvat thī bahut thī
bayaban se aqidat thi bahut thi
bichhaD kar tujh se wahshat thi bahut thi
chune phir umr bhar ye zard patte
hamein gham se mohabbat thi bahut thi
jala kar rakh kar Dala hai dekho
wafa mein us ki hiddat thi bahut thi
hare karti rahi main zaKHm sare
mujhe aahon se raghbat thi bahut thi
bikharna ho gaya tha lazmi yun
tere lahje mein naKHwat thi bahut thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.