bayaban-zad koi kya kahe KHud be-makan hai
bayābāñ-zād koī kyā kahe ḳhud be-makāñ hai
samundar ai samundar terā apnā ghar kahāñ hai
vafā kā ahd kyā bāñdhūñ abhī ai dast-e-ḳhushbū
abhī bādal hinā-pā hai abhī sūraj javāñ hai
ajab afsūñ-sifat saarā na chhup kar hai na zāhir
jazīra aisā soyā hai vo dariyā sā ravāñ hai
havā hai munharif ḳhud apnī hī tahrīr se kyuuñ
haqīqat kyā yahī hai vo bhī bilkul be-amāñ hai
savāl aisā ki is kā lab hilānā bhī thā mushkil
ye pūchhā thā ki ḳhushbū basta hai yā ravāñ hai
koī to ham-suḳhan hotā ki us se baat karte
batāte khul ke vo kyā lafz hai jo be-bayāñ hai
mire paas aa kabhī ai lamha-e-harf-e-masarrat
ki maiñ bhī dekh luuñ āḳhir tū kitnā ḳhush-zabāñ hai
havā kā haath kyā ātish-e-badan hai jo saf-e-gul
ho mausam koī bhī ye to vahī sho.ala-ba-jāñ hai
jo sab kuchh dekh kar bhī dekhne detā nahīñ kuchh
kahūñ 'manzūr' kyā āñkhoñ meñ ye kaisā dhuāñ hai
bayaban-zad koi kya kahe KHud be-makan hai
samundar ai samundar tera apna ghar kahan hai
wafa ka ahd kya bandhun abhi ai dast-e-KHushbu
abhi baadal hina-pa hai abhi suraj jawan hai
ajab afsun-sifat sara na chhup kar hai na zahir
jazira aisa soya hai wo dariya sa rawan hai
hawa hai munharif KHud apni hi tahrir se kyun
haqiqat kya yahi hai wo bhi bilkul be-aman hai
sawal aisa ki is ka lab hilana bhi tha mushkil
ye puchha tha ki KHushbu basta hai ya rawan hai
koi to ham-suKHan hota ki us se baat karte
batate khul ke wo kya lafz hai jo be-bayan hai
mere pas aa kabhi ai lamha-e-harf-e-masarrat
ki main bhi dekh lun aaKHir tu kitna KHush-zaban hai
hawa ka hath kya aatish-e-badan hai jo saf-e-gul
ho mausam koi bhi ye to wahi shoala-ba-jaan hai
jo sab kuchh dekh kar bhi dekhne deta nahin kuchh
kahun 'manzur' kya aankhon mein ye kaisa dhuan hai
- Book : Sher-e-Aasman (Pg. 22)
- Author : Hakim Manzoor
- Publication : Maktaba aariz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.