bayan-e-dard jab karta hun main ula-o-sani mein
bayān-e-dard jab kartā huuñ maiñ ūlā-o-sānī meñ
bahut miltī mohabbat hai mujhe phir she'r-ḳhvānī meñ
sabhī haiñ pūchhte ki 'ishq kar ke kyā milā āḳhir
batātā huuñ sukūñ miltā mujhe is rā.egānī meñ
jahāñ bhar meñ jise maiñ DhūñDhtā phirtā rahā aksar
milā ban bevafā kirdār vo merī kahānī meñ
sabhī apnoñ se yaañ mujh ko chhupānā ashk paḌtā hai
huī barsāt aisī mil ga.e sab ashk paanī meñ
bahut hī muskurātā thā kabhī mahfil meñ yāroñ kī
nazar kis kī lagī hai aaj us kī shādmānī meñ
suḳhanvar jab sunāte haiñ mohabbat hiir rāñjhā kī
tasavvur meñ tirā kartā huuñ un kī har bayānī meñ
ḳhafā sāhab huuñ tum se maiñ bas is ik baat ko le kar
ḳhudī ko bech aa.e tum na jaane kis gumānī meñ
bayan-e-dard jab karta hun main ula-o-sani mein
bahut milti mohabbat hai mujhe phir she'r-KHwani mein
sabhi hain puchhte ki 'ishq kar ke kya mila aaKHir
batata hun sukun milta mujhe is raegani mein
jahan bhar mein jise main DhunDhta phirta raha aksar
mila ban bewafa kirdar wo meri kahani mein
sabhi apnon se yan mujh ko chhupana ashk paDta hai
hui barsat aisi mil gae sab ashk pani mein
bahut hi muskuraata tha kabhi mahfil mein yaron ki
nazar kis ki lagi hai aaj us ki shadmani mein
suKHanwar jab sunate hain mohabbat hir ranjha ki
tasawwur mein tera karta hun un ki har bayani mein
KHafa sahab hun tum se main bas is ek baat ko le kar
KHudi ko bech aae tum na jaane kis gumani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.