bayan ghairon se apna gham karen kya
bayāñ ġhairoñ se apnā ġham kareñ kyā
namak ko zaḳhm kā marham kareñ kyā
na.e mausam ke ḳhāke haiñ nazar meñ
guzashta fasl kā mātam kareñ kyā
utartā hī nahīñ hai us kā jaadū
batāo ḳhud pe paḌh kar dam kareñ kyā
use ham kis tarah dil se nikāleñ
ye dil suntā nahīñ to ham kareñ kyā
ham us kī be-ruḳhī kā zikr kar ke
use kuchh aur bhī barham kareñ kyā
hameñ jabran hī jiinā paḌ rahā hai
batā ai gardish-e-paiham kareñ kyā
ġhamoñ kī dhuup meñ jab jal chuke haiñ
ḳhushī kī chhāñv kā 'ālam' kareñ kyā
bayan ghairon se apna gham karen kya
namak ko zaKHm ka marham karen kya
nae mausam ke KHake hain nazar mein
guzashta fasl ka matam karen kya
utarta hi nahin hai us ka jadu
batao KHud pe paDh kar dam karen kya
use hum kis tarah dil se nikalen
ye dil sunta nahin to hum karen kya
hum us ki be-ruKHi ka zikr kar ke
use kuchh aur bhi barham karen kya
hamein jabran hi jina paD raha hai
bata ai gardish-e-paiham karen kya
ghamon ki dhup mein jab jal chuke hain
KHushi ki chhanw ka 'alam' karen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.