bayan kya hai jo is se bhi kuchh siwa samjhen
bayān kyā hai jo is se bhī kuchh sivā samjheñ
unheñ kaho ki vo dil kā mo.āmla samjheñ
kaho ki kasrat-e-kār-e-jahāñ ke hote hue
kisī kī yaad satā.e to is ko kyā samjheñ
ki sū-e-dil chalī aatī haiñ laḌkiyāñ pahle
phir us ke baad ye kahtī haiñ mas.ala samjheñ
ye daur vo nahīñ likkhā hai jo kitāboñ meñ
yahāñ vafā kī adākārī ko vafā samjheñ
guzishta ishq kā ġhaflat meñ khul gayā hai bhed
agar ye sab vo na samjhā to phir judā samjheñ
ye kār-zār chalātā hai kaun apne sivā
kise ḳhudā.ī kaheñ ham kise ḳhudā samjheñ
sipāh-e-dushman-e-dil qahqaha lagā ke kahe
ye ahl-e-ishq haiñ in ko marā huā samjheñ
ḳhazāna DhūñDne nikle the kho ga.e haiñ ḳhud
kahā bhī thā ki palaTne kā rāsta samjheñ
bayan kya hai jo is se bhi kuchh siwa samjhen
unhen kaho ki wo dil ka moamla samjhen
kaho ki kasrat-e-kar-e-jahan ke hote hue
kisi ki yaad satae to is ko kya samjhen
ki su-e-dil chali aati hain laDkiyan pahle
phir us ke baad ye kahti hain masala samjhen
ye daur wo nahin likkha hai jo kitabon mein
yahan wafa ki adakari ko wafa samjhen
guzishta ishq ka ghaflat mein khul gaya hai bhed
agar ye sab wo na samjha to phir juda samjhen
ye kar-zar chalata hai kaun apne siwa
kise KHudai kahen hum kise KHuda samjhen
sipah-e-dushman-e-dil qahqaha laga ke kahe
ye ahl-e-ishq hain in ko mara hua samjhen
KHazana DhunDne nikle the kho gae hain KHud
kaha bhi tha ki palaTne ka rasta samjhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.