bayan kya kijiye soz-e-darun ko dastanon mein
bayan kya kijiye soz-e-darun ko dastanon mein
Hina Ambareen Tariq
MORE BYHina Ambareen Tariq
bayāñ kyā kījiye soz-e-darūñ ko dāstānoñ meñ
nikal ke tiir kab aate haiñ vāpas phir kamānoñ meñ
hamārī soch ke bādal haiñ uḌte āsmānoñ meñ
karegī yaad ye duniyā hameñ aate zamānoñ meñ
sabhī mil kar bichhaḌ jaa.eñ agar gumnām ho jaa.eñ
makīñ phir kis liye baste haiñ in ūñche makānoñ meñ
rahe vahshat-zada ke saath to vahshat milī har dam
vo hī vahshat rahī man meñ sabhī mausam suhānoñ meñ
churā ke ḳhvāb vo mere chalā to ye ḳhayāl aayā
qalam kī nok se likh duuñ alam ye sab lisānoñ meñ
jo sach kahte haiñ vo hī jāvedāñ rahte haiñ aalam meñ
chhupāyā jā nahīñ saktā haqīqat ko fasānoñ meñ
zamīñ sarsabz hai fasleñ bhī kaisī lahlahātī haiñ
amīr-e-shahr ne ḳhirman jo bāñTā hai kisānoñ meñ
vafā ke naam par hargiz hinā ḳhāmosh mat rahnā
kabhī vo lauT ā.eñge tumhārī dāstānoñ meñ
bayan kya kijiye soz-e-darun ko dastanon mein
nikal ke tir kab aate hain wapas phir kamanon mein
hamari soch ke baadal hain uDte aasmanon mein
karegi yaad ye duniya hamein aate zamanon mein
sabhi mil kar bichhaD jaen agar gumnam ho jaen
makin phir kis liye baste hain in unche makanon mein
rahe wahshat-zada ke sath to wahshat mili har dam
wo hi wahshat rahi man mein sabhi mausam suhanon mein
chura ke KHwab wo mere chala to ye KHayal aaya
qalam ki nok se likh dun alam ye sab lisanon mein
jo sach kahte hain wo hi jawedan rahte hain aalam mein
chhupaya ja nahin sakta haqiqat ko fasanon mein
zamin sarsabz hai faslen bhi kaisi lahlahati hain
amir-e-shahr ne KHirman jo banTa hai kisanon mein
wafa ke nam par hargiz hina KHamosh mat rahna
kabhi wo lauT aaenge tumhaari dastanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.