bayaz-e-umr mein jab harf-e-motabar hi nahin
bayāz-e-umr meñ jab harf-e-mo'tabar hī nahīñ
to goyā ham meñ kisī baat kā hunar hī nahīñ
ye dā.eroñ kā safar thā tamām kyā hotā
hazār shukr ki tū merā ham-safar hī nahīñ
sukūn-e-nīm-shabī kī talāsh lā-hāsil
phir aise ghar meñ ki jis ghar ke bām-o-dar hī nahīñ
savāl ye hai ki vo merā ham-nafas kyoñ ho
mire mizāj kī jis ko koī ḳhabar hī nahīñ
ki jaise shīshe ke gumbad meñ jī rahe haiñ ham
yahāñ pe taaza havā kā kahīñ guzar hī nahīñ
'nazīr' bastī ke logoñ ko kyoñ nahīñ ehsās
ye sail-e-āb hai aur sirf merā ghar hī nahīñ
bayaz-e-umr mein jab harf-e-mo'tabar hi nahin
to goya hum mein kisi baat ka hunar hi nahin
ye daeron ka safar tha tamam kya hota
hazar shukr ki tu mera ham-safar hi nahin
sukun-e-nim-shabi ki talash la-hasil
phir aise ghar mein ki jis ghar ke baam-o-dar hi nahin
sawal ye hai ki wo mera ham-nafas kyon ho
mere mizaj ki jis ko koi KHabar hi nahin
ki jaise shishe ke gumbad mein ji rahe hain hum
yahan pe taza hawa ka kahin guzar hi nahin
'nazir' basti ke logon ko kyon nahin ehsas
ye sail-e-ab hai aur sirf mera ghar hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.