bazm-e-‘alam mein KHuda jaane ye kya hota hai
bazm-e-‘alam mein KHuda jaane ye kya hota hai
Abdul Qadir Ahqar Azizi
MORE BYAbdul Qadir Ahqar Azizi
bazm-e-‘ālam meñ ḳhudā jaane ye kyā hotā hai
jo bhī hotā hai vo vallāh bajā hotā hai
kuchh 'ajab Dhang sañvarne kā hai un ke dekho
nargisī chashm bhī surme se bharā hotā hai
dekh kar chāñd sitāre bhī haiñ ‘ash-‘ash karte
māñg-Tīke pe jo yāqūt jaḌā hotā hai
majlis-e-husn meñ pahuñche jo koī to dekhe
kāsa-e-bāda-e-gul-rang dharā hotā hai
bāda-ḳhvāroñ pe jo chhā jaatī hai mastī us dam
rang āñkhoñ meñ mohabbat kā chaḌhā hotā hai
māh-rūoñ se mohabbat to sarāsar hai sitam
nāznīnoñ pe kahīñ zulm ravā hotā hai
'ishq vo naḳhl hai jo ashk se sarsabz na ho
barq girtī hai to ye naḳhl harā hotā hai
qabr se qais ke har dam ye sadā aatī hai
dil lagānā kisī lailā se burā hotā hai
pūchhā farhād se kyoñ jaan ga.ī ulfat meñ
bolā hotā hai jo manzūr-e-ḳhudā hotā hai
al-ġharaz aag mohabbat kī jalā detī hai
jis tarah aag se sīmāb havā hotā hai
ik ‘afīfa hai tamannā liye baiThī 'ahqar'
is liye dard mirā had se baḌhā hotā hai
bazm-e-‘alam mein KHuda jaane ye kya hota hai
jo bhi hota hai wo wallah baja hota hai
kuchh 'ajab Dhang sanwarne ka hai un ke dekho
nargisi chashm bhi surme se bhara hota hai
dekh kar chand sitare bhi hain ‘ash-‘ash karte
mang-Tike pe jo yaqut jaDa hota hai
majlis-e-husn mein pahunche jo koi to dekhe
kasa-e-baada-e-gul-rang dhara hota hai
baada-KHwaron pe jo chha jati hai masti us dam
rang aankhon mein mohabbat ka chaDha hota hai
mah-ruon se mohabbat to sarasar hai sitam
nazninon pe kahin zulm rawa hota hai
'ishq wo naKHl hai jo ashk se sarsabz na ho
barq girti hai to ye naKHl hara hota hai
qabr se qais ke har dam ye sada aati hai
dil lagana kisi laila se bura hota hai
puchha farhad se kyon jaan gai ulfat mein
bola hota hai jo manzur-e-KHuda hota hai
al-gharaz aag mohabbat ki jala deti hai
jis tarah aag se simab hawa hota hai
ek ‘afifa hai tamanna liye baiThi 'ahqar'
is liye dard mera had se baDha hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.