bazm-e-jaanan se lauT kar aae
bazm-e-jānāñ se lauT kar aa.e
phuul dāman meñ apne bhar laa.e
baat hī ham-nafas kuchh aisī thī
un kī mahfil meñ jā ke lauT aa.e
āshiyāñ to banā ke dam lūñgā
barq-e-ḳhātif hazār lahrā.e
raushnī hai na kuchh ujālā hai
har taraf zulmatoñ ke haiñ saa.e
terā dar chhoḌ ke ai jān-e-vafā
koī jaa.e to phir kahāñ jaa.e
kyā vo aa.e mire tasavvur meñ
mujh ko biite zamāne yaad aa.e
zaḳhm hī dil kā bhar gayā shāyad
varna hoñToñ pe yuuñ hañsī aa.e
jāntā hai savāb-e-tā.at-o-zohd
koī dil ko mire na samjhā.e
dard-e-dil kahte haiñ jise 'anjum'
un kī mus.haf se le ke ham aa.e
bazm-e-jaanan se lauT kar aae
phul daman mein apne bhar lae
baat hi ham-nafas kuchh aisi thi
un ki mahfil mein ja ke lauT aae
aashiyan to bana ke dam lunga
barq-e-KHatif hazar lahrae
raushni hai na kuchh ujala hai
har taraf zulmaton ke hain sae
tera dar chhoD ke ai jaan-e-wafa
koi jae to phir kahan jae
kya wo aae mere tasawwur mein
mujh ko bite zamane yaad aae
zaKHm hi dil ka bhar gaya shayad
warna honTon pe yun hansi aae
jaanta hai sawab-e-taat-o-zohd
koi dil ko mere na samjhae
dard-e-dil kahte hain jise 'anjum'
un ki mushaf se le ke hum aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.