bazm-e-jaanan se nikalne ko to hum han nikle
bazm-e-jānāñ se nikalne ko to ham haañ nikle
ġhair kā bhī na ilāhī koī armāñ nikle
ishq ke mahr jo nikle to ye armāñ nikle
dil diyā jin ko vahī jaan ke ḳhvāhāñ nikle
ġham na nikle mire dil se to kahīñ jaañ nikle
ek armān to ai kasrat-e-hirmāñ nikle
bazm-e-duniyā meñ nahīñ naam ko jam.iyyat-e-dil
mutma.in aa.e the ham aur pareshāñ nikle
pamba-e-dāġh-e-jigar kuchh jo uThā duuñ to abhī
uñgliyāñ uThtī haiñ vo aḳhtar-e-tābāñ nikle
mehrbāñ jaan ke dil jin ko diyā thā ham ne
vo sitamgār sitam-kesh sitam-rāñ nikle
tū ne ai soz-e-darūñ phūñk diye jān-o-jigar
dil se naale bhī jo nikle sharar-afshāñ nikle
aap kī bazm meñ ham aap se milne ke liye
ḳhush ḳhush aa.e the magar kyā hī pashemāñ nikle
gardish-e-charḳh ke qaa.il hoñ jab apnī bhī kabhī
koī hasrat kabhī nikle koī armāñ nikle
aap hoñ jalva-numā raat ko mahtābī par
ham bhī to dekheñ ki kyoñ kar mah-e-tābāñ nikle
mahr ye husn-e-gulo-soz hai vo hosh-rubā
ā.ina-ḳhāne se vo aap bhī hairāñ nikle
bazm-e-jaanan se nikalne ko to hum han nikle
ghair ka bhi na ilahi koi arman nikle
ishq ke mahr jo nikle to ye arman nikle
dil diya jin ko wahi jaan ke KHwahan nikle
gham na nikle mere dil se to kahin jaan nikle
ek arman to ai kasrat-e-hirman nikle
bazm-e-duniya mein nahin nam ko jamiyyat-e-dil
mutmain aae the hum aur pareshan nikle
pamba-e-dagh-e-jigar kuchh jo uTha dun to abhi
ungliyan uThti hain wo aKHtar-e-taban nikle
mehrban jaan ke dil jin ko diya tha hum ne
wo sitamgar sitam-kesh sitam-ran nikle
tu ne ai soz-e-darun phunk diye jaan-o-jigar
dil se nale bhi jo nikle sharar-afshan nikle
aap ki bazm mein hum aap se milne ke liye
KHush KHush aae the magar kya hi pasheman nikle
gardish-e-charKH ke qail hon jab apni bhi kabhi
koi hasrat kabhi nikle koi arman nikle
aap hon jalwa-numa raat ko mahtabi par
hum bhi to dekhen ki kyon kar mah-e-taban nikle
mahr ye husn-e-gulo-soz hai wo hosh-ruba
aaina-KHane se wo aap bhi hairan nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.