bazm-e-jahan-e-shauq ka mehwar bhi main hi tha
bazm-e-jahān-e-shauq kā mehvar bhī maiñ hī thā
aurāq-e-dil pe harf-e-mukarrar bhī maiñ hī thā
jitne bhī 'aks the mire atrāf mere the
andar bhī aa.ine ke maiñ bāhar bhī maiñ hī thā
barsoñ se jis pe koī bhī dastak nahīñ huī
is shahr-e-be-charāġh meñ vo dar bhī maiñ hī thā
maiñ ne hī us ke husn ko baḳhshī thī dilkashī
us paikar-e-jamāl kā maz.har bhī maiñ hī thā
ilzām-e-nā-murādī-e-manzil maiñ kis ko duuñ
ḳhud apnī rahguzār kā patthar bhī maiñ hī thā
dekhā to duur tak mirā ham-sar na thā koī
sochā to apne qad ke barābar bhī maiñ hī thā
bazm-e-suḳhan kī raunaqeñ sab mere dam se thiiñ
shahr-e-suḳhanvarāñ meñ suḳhanvar bhī maiñ hī thā
bazm-e-jahan-e-shauq ka mehwar bhi main hi tha
auraq-e-dil pe harf-e-mukarrar bhi main hi tha
jitne bhi 'aks the mere atraf mere the
andar bhi aaine ke main bahar bhi main hi tha
barson se jis pe koi bhi dastak nahin hui
is shahr-e-be-charagh mein wo dar bhi main hi tha
main ne hi us ke husn ko baKHshi thi dilkashi
us paikar-e-jamal ka mazhar bhi main hi tha
ilzam-e-na-muradi-e-manzil main kis ko dun
KHud apni rahguzar ka patthar bhi main hi tha
dekha to dur tak mera ham-sar na tha koi
socha to apne qad ke barabar bhi main hi tha
bazm-e-suKHan ki raunaqen sab mere dam se thin
shahr-e-suKHanwaran mein suKHanwar bhi main hi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.