bazm-e-KHuban se uThe dar-o-rasan tak pahunche
bazm-e-ḳhūbāñ se uThe dār-o-rasan tak pahuñche
aap hī aap mire paañv gagan tak pahuñche
ek maiñ hī thā jo sayyād kī jholī meñ girā
uḌ ga.e saare parinde jo chaman tak pahuñche
sirf dil hī ko jalānā to koī baat nahīñ
ishq ik aag agar hai to badan tak pahuñche
bandishoñ hī kī numā.ish hai hayāt-e-ādam
ek dhāge se bañdhe aur kafan tak pahuñche
umr kamtar hī se koshish thī musalsal jaarī
sher apnā bhī koī tarz-e-suḳhan tak pahuñche
āḳhirī ek ye ḳhvāhish hai mire siine meñ
ḳhaak jab merī uḌe apne vatan tak pahuñche
sharm kā phuul maiñ āñkhoñ se terī chun lūñgā
is se pahle ki jhaḌe aur dahan tak pahuñche
āsmānoñ ko dabā legā vo pairoñ ke tale
shauq insān kā gar us kī lagan tak pahuñche
kyā zarūrat ki kareñ chal ke tavāf-e-duniyā
fikr apnī ye agar gañg-o-jaman tak pahuñche
soch lenā thā tujhe itnā ki kyā hogā 'nadīm'
aaj kā sher agar tere sajan tak pahuñche
bazm-e-KHuban se uThe dar-o-rasan tak pahunche
aap hi aap mere panw gagan tak pahunche
ek main hi tha jo sayyaad ki jholi mein gira
uD gae sare parinde jo chaman tak pahunche
sirf dil hi ko jalana to koi baat nahin
ishq ek aag agar hai to badan tak pahunche
bandishon hi ki numaish hai hayat-e-adam
ek dhage se bandhe aur kafan tak pahunche
umr kamtar hi se koshish thi musalsal jari
sher apna bhi koi tarz-e-suKHan tak pahunche
aaKHiri ek ye KHwahish hai mere sine mein
KHak jab meri uDe apne watan tak pahunche
sharm ka phul main aankhon se teri chun lunga
is se pahle ki jhaDe aur dahan tak pahunche
aasmanon ko daba lega wo pairon ke tale
shauq insan ka gar us ki lagan tak pahunche
kya zarurat ki karen chal ke tawaf-e-duniya
fikr apni ye agar gang-o-jaman tak pahunche
soch lena tha tujhe itna ki kya hoga 'nadim'
aaj ka sher agar tere sajan tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.