bazm-e-rang-o-nur mein sahib-nazar koi nahin
bazm-e-rang-o-nūr meñ sāhib-nazar koī nahīñ
dekhne vaale bahut haiñ dīda-var koī nahīñ
ham ko virse meñ milā hai vo makāñ ajdād se
jis meñ dīvāreñ hī dīvāreñ haiñ dar koī nahīñ
har galī kūche meñ ab shams-o-qamar bikne lage
ab ḳharīdār-e-charāġh-e-chashm-e-tar koī nahīñ
yuuñ taḳhayyul meñ haqā.eq kī milāvaT ho ga.ī
ab fasānoñ meñ bhī harf-e-mo'tabar koī nahīñ
maiñ na.ī manzil ko niklā huuñ purānī raah par
mere hamrāhī bahut haiñ ham-safar koī nahīñ
ahl-e-dil to ḳhair sab sūd-o-ziyāñ meñ paḌ ga.e
kyā ḳhirad-mandoñ meñ bhī āshufta-sar koī nahiñ
bazm-e-rang-o-nur mein sahib-nazar koi nahin
dekhne wale bahut hain dida-war koi nahin
hum ko wirse mein mila hai wo makan ajdad se
jis mein diwaren hi diwaren hain dar koi nahin
har gali kuche mein ab shams-o-qamar bikne lage
ab KHaridar-e-charagh-e-chashm-e-tar koi nahin
yun taKHayyul mein haqaeq ki milawaT ho gai
ab fasanon mein bhi harf-e-mo'tabar koi nahin
main nai manzil ko nikla hun purani rah par
mere hamrahi bahut hain ham-safar koi nahin
ahl-e-dil to KHair sab sud-o-ziyan mein paD gae
kya KHirad-mandon mein bhi aashufta-sar koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.