bazm-e-sahba mein achanak shor barpa ho gaya
bazm-e-sahbā meñ achānak shor barpā ho gayā
TuuT kar zāhid kā chaknā-chūr taqvā ho gayā
gardish-e-daurāñ ke hāthoñ kā khilaunā ho gayā
sochtā huuñ mujh ko kyā honā thā maiñ kyā ho gayā
kasmapursī kā ye 'ālam hai mashīnī daur meñ
bhiiḌ meñ rahte hue insān tanhā ho gayā
vaqt ke marham ne dikhlāyā to thā apnā asar
ek hichkī meñ hī saarā khel ulTā ho gayā
roz-e-avval se zamīñ ne zahr uglā is qadar
pīte-pīte āsmāñ kā rang niilā ho gayā
aap ke qadmoñ kī ḳhātir hī maiñ laayā thā magar
haath lagne se mirā vo phuul mailā ho gayā
mudda'ā lā kar zabāñ par 'nazr' phir rusvā na ho
aaj tak to ye huā jo us ne chāhā ho gayā
bazm-e-sahba mein achanak shor barpa ho gaya
TuT kar zahid ka chakna-chur taqwa ho gaya
gardish-e-dauran ke hathon ka khilauna ho gaya
sochta hun mujh ko kya hona tha main kya ho gaya
kasmapursi ka ye 'alam hai mashini daur mein
bhiD mein rahte hue insan tanha ho gaya
waqt ke marham ne dikhlaya to tha apna asar
ek hichki mein hi sara khel ulTa ho gaya
roz-e-awwal se zamin ne zahr ugla is qadar
pite-pite aasman ka rang nila ho gaya
aap ke qadmon ki KHatir hi main laya tha magar
hath lagne se mera wo phul maila ho gaya
mudda'a la kar zaban par 'nazr' phir ruswa na ho
aaj tak to ye hua jo us ne chaha ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.