Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bazm-e-shahanshah mein ashaar ka daftar khula

Mirza Ghalib

bazm-e-shahanshah mein ashaar ka daftar khula

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    bazm-e-shāhanshāh meñ ash.ār daftar khulā

    rakhiyo rab ye dar-e-ganjīna-e-gauhar khulā

    shab huī phir anjum-e-raḳhshanda manzar khulā

    is takalluf se ki goyā but-kade dar khulā

    garche huuñ dīvāna par kyuuñ dost khā.ūñ fareb

    āstīñ meñ dashna pinhāñ haath meñ nashtar khulā

    go na samjhūñ us bāteñ go na pā.ūñ us bhed

    par ye kyā kam hai ki mujh se vo parī-paikar khulā

    hai ḳhayāl-e-husn meñ husn-e-amal ḳhayāl

    ḳhuld ik dar hai merī gor ke andar khulā

    muñh na khulne par hai vo aalam ki dekhā nahīñ

    zulf se baḌh kar naqāb us shoḳh ke muñh par khulā

    dar pe rahne ko kahā aur kah ke kaisā phir gayā

    jitne arse meñ mirā lipTā huā bistar khulā

    kyuuñ añdherī hai shab-e-ġham hai balāoñ nuzūl

    aaj udhar ko rahegā dīda-e-aḳhtar khulā

    kyā rahūñ ġhurbat meñ ḳhush jab ho havādis ye haal

    naama laatā hai vatan se nāma-bar aksar khulā

    us ummat meñ huuñ maiñ mere raheñ kyuuñ kaam band

    vāste jis shah ke 'ġhālib' gumbad-e-be-dar khulā

    bazm-e-shahanshah mein ashaar ka daftar khula

    rakhiyo ya rab ye dar-e-ganjina-e-gauhar khula

    shab hui phir anjum-e-raKHshanda ka manzar khula

    is takalluf se ki goya but-kade ka dar khula

    garche hun diwana par kyun dost ka khaun fareb

    aastin mein dashna pinhan hath mein nashtar khula

    go na samjhun us ki baaten go na paun us ka bhed

    par ye kya kam hai ki mujh se wo pari-paikar khula

    hai KHayal-e-husn mein husn-e-amal ka sa KHayal

    KHuld ka ek dar hai meri gor ke andar khula

    munh na khulne par hai wo aalam ki dekha hi nahin

    zulf se baDh kar naqab us shoKH ke munh par khula

    dar pe rahne ko kaha aur kah ke kaisa phir gaya

    jitne arse mein mera lipTa hua bistar khula

    kyun andheri hai shab-e-gham hai balaon ka nuzul

    aaj udhar hi ko rahega dida-e-aKHtar khula

    kya rahun ghurbat mein KHush jab ho hawadis ka ye haal

    nama lata hai watan se nama-bar aksar khula

    us ki ummat mein hun main mere rahen kyun kaam band

    waste jis shah ke 'ghaalib' gumbad-e-be-dar khula

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now