bazm-e-suKHan hai aur suKHan-dan nae nae
bazm-e-suKHan hai aur suKHan-dan nae nae
Qazi Mustaqiimuddiin Sahar
MORE BYQazi Mustaqiimuddiin Sahar
bazm-e-suḳhan hai aur suḳhan-dāñ na.e na.e
mahfil meñ aaj aa.e haiñ mehmāñ na.e na.e
kin manziloñ kī taak meñ ye kārvān-e-zīst
rāheñ na.ī na.ī haiñ gulistāñ na.e na.e
bilkul ġhalat hai kaun ye kahtā hai vajd meñ
milte nahīñ junūñ ko bayābāñ na.e na.e
saaqī zarā nazar tū uThā dekh bazm meñ
piine ko aaj aa.e haiñ mehmāñ na.e na.e
jab tak hai saañs hausla baaqī rahe mirā
DhūñDā karūñgā dard ke darmāñ na.e na.e
muskān abrūoñ ke ishāre salām-e-ishq
kaise uThā.e jā.eñge ehsāñ na.e na.e
kyā ġham jo ajnabī hai zarā guftugū 'sahar'
un ke liye to aap haiñ mehmāñ na.e na.e
bazm-e-suKHan hai aur suKHan-dan nae nae
mahfil mein aaj aae hain mehman nae nae
kin manzilon ki tak mein ye karwan-e-zist
rahen nai nai hain gulistan nae nae
bilkul ghalat hai kaun ye kahta hai wajd mein
milte nahin junun ko bayaban nae nae
saqi zara nazar tu uTha dekh bazm mein
pine ko aaj aae hain mehman nae nae
jab tak hai sans hausla baqi rahe mera
DhunDa karunga dard ke darman nae nae
muskan abruon ke ishaare salam-e-ishq
kaise uThae jaenge ehsan nae nae
kya gham jo ajnabi hai zara guftugu 'sahar'
un ke liye to aap hain mehman nae nae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.