bazm-e-taKHayyulat mein matam hai in dinon
bazm-e-taḳhayyulāt meñ mātam hai in dinoñ
be-kaif-o-be-surūr sā 'ālam hai in dinoñ
monis hai koī apnā na hamdam hai in dinoñ
jis par thā e'timād vo barham hai in dinoñ
soyā huā hai izn-e-musāvāt āj-kal
tahrīk shorishoñ kī munazzam hai in dinoñ
insāniyat ke bhes meñ 'uryāñ darindagī
shaitāniyat kā daur mujassam hai in dinoñ
hirmāñ-nasīb sar pe balā.eñ haiñ sad-hazār
insāñ pe jaur-e-gardish-e-paiham hai in dinoñ
kirnoñ se pūchh apnī zarā mehr-e-hurriyat
insāñ kā ḳhuun qatra-e-shabnam hai in dinoñ
bhūlā huā hai apne farā.ez ko har bashar
jo kuchh bhī ho rahā hai sitam kam hai in dinoñ
khultā nahīñ ye rāz-e-ḳhamoshī jahān par
sar hurriyat-pasand kā kyoñ ḳham hai in dinoñ
'zamzam' ye inqalāb nirālā hai kyā kaheñ
āzādī-e-vatan kī ḳhushī ġham hai in dinoñ
bazm-e-taKHayyulat mein matam hai in dinon
be-kaif-o-be-surur sa 'alam hai in dinon
monis hai koi apna na hamdam hai in dinon
jis par tha e'timad wo barham hai in dinon
soya hua hai izn-e-musawat aaj-kal
tahrik shorishon ki munazzam hai in dinon
insaniyat ke bhes mein 'uryan darindagi
shaitaniyat ka daur mujassam hai in dinon
hirman-nasib sar pe balaen hain sad-hazar
insan pe jaur-e-gardish-e-paiham hai in dinon
kirnon se puchh apni zara mehr-e-hurriyat
insan ka KHun qatra-e-shabnam hai in dinon
bhula hua hai apne faraez ko har bashar
jo kuchh bhi ho raha hai sitam kam hai in dinon
khulta nahin ye raaz-e-KHamoshi jahan par
sar hurriyat-pasand ka kyon KHam hai in dinon
'zamzam' ye inqalab nirala hai kya kahen
aazadi-e-watan ki KHushi gham hai in dinon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.