bazm mein unki jaana bhi
bazm meñ un kī jaanā bhī
hosh meñ vāpas aanā bhī
ek nigāh-e-nāz meñ hai
jiinā bhī mar jaanā bhī
rūdād-e-mansūr sunī
sun merā afsānā bhī
ishq hai ban bhī tārik-e-dīñ
aql se ho begāna bhī
dil se samajhnā bhī hai kuchh
kuchh hai use samjhānā bhī
uf saaqī kī mast nigāh
jhuum gayā mai-ḳhāna bhī
bāda-e-ishq se haiñ rangīn
miinā bhī paimāna bhī
pūchh na hai kitnā pur-kaif
dhoke meñ dil ke aanā bhī
yaar ke nikle dīvāne
nādāñ bhī sab daanā bhī
rāh-e-ishq hai vo jis kā
kho denā hai paanā bhī
rasm-e-vafā kā uThnā thā
'nāmī' kā mar jaanā bhī
bazm mein un ki jaana bhi
hosh mein wapas aana bhi
ek nigah-e-naz mein hai
jina bhi mar jaana bhi
rudad-e-mansur suni
sun mera afsana bhi
ishq hai ban bhi tarik-e-din
aql se ho begana bhi
dil se samajhna bhi hai kuchh
kuchh hai use samjhana bhi
uf saqi ki mast nigah
jhum gaya mai-KHana bhi
baada-e-ishq se hain rangin
mina bhi paimana bhi
puchh na hai kitna pur-kaif
dhoke mein dil ke aana bhi
yar ke nikle diwane
nadan bhi sab dana bhi
rah-e-ishq hai wo jis ka
kho dena hai pana bhi
rasm-e-wafa ka uThna tha
'nami' ka mar jaana bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.