bazm mein wo sarfaraazi ki alamat le gae
bazm meñ vo sarfarāzī kī alāmat le ga.e
jab ga.e to saath merā qadd-o-qāmat le ga.e
ye ġhanīmat hai ki us kū-e-dil-āzārī se ham
bārish-e-sañg-e-sitam meñ sar salāmat le ga.e
pesh karne ko na thā kuchh bhī tahī-dastoñ ke paas
shahr-e-be-tauqīr se zād-e-nadāmat le ga.e
koī bhī āsār jis ke apne chehre par na the
ham chhupā kar dhaḌkanoñ meñ vo qayāmat le ga.e
sāya-e-amn-o-amāñ meñ āshnā sote rahe
ham tan-e-tanhā ye ambār-e-malāmat le ga.e
anjuman meñ us kī 'mohsin' chand baune jam.a the
tum vahāñ kis zo.am meñ ye qadd-o-qāmat le ga.e
bazm mein wo sarfaraazi ki alamat le gae
jab gae to sath mera qadd-o-qamat le gae
ye ghanimat hai ki us ku-e-dil-azari se hum
barish-e-sang-e-sitam mein sar salamat le gae
pesh karne ko na tha kuchh bhi tahi-daston ke pas
shahr-e-be-tauqir se zad-e-nadamat le gae
koi bhi aasar jis ke apne chehre par na the
hum chhupa kar dhaDkanon mein wo qayamat le gae
saya-e-amn-o-aman mein aashna sote rahe
hum tan-e-tanha ye ambar-e-malamat le gae
anjuman mein us ki 'mohsin' chand baune jama the
tum wahan kis zoam mein ye qadd-o-qamat le gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.