bazm sanwarun ghazlen gaun
bazm sañvārūñ ġhazleñ gā.ūñ
jiine ke andāz banā.ūñ
har dam ro ro ḳhuun ke aañsū
kyuuñ āñkhoñ kī aab gañvā.ūñ
kab tak dil ke bahkāne par
taare gin gin raat bitā.ūñ
in ko merā dhyān nahīñ hai
maiñ kyuuñ apnī jaan gañvā.ūñ
merā ġham kis ne khāyā hai
maiñ kyuuñ duniyā kā ġham khā.ūñ
sab se tark-e-ta.alluq kar luuñ
ḳhud se rasm-o-rāh baḌhā.ūñ
marne vāloñ ko marne duuñ
jiine vāloñ ko apnā.ūñ
har mayyat ke sirhāne 'shohrat'
naġhme chheḌūñ jashn manā.ūñ
bazm sanwarun ghazlen gaun
jine ke andaz banaun
har dam ro ro KHun ke aansu
kyun aankhon ki aab ganwaun
kab tak dil ke bahkane par
tare gin gin raat bitaun
in ko mera dhyan nahin hai
main kyun apni jaan ganwaun
mera gham kis ne khaya hai
main kyun duniya ka gham khaun
sab se tark-e-talluq kar lun
KHud se rasm-o-rah baDhaun
marne walon ko marne dun
jine walon ko apnaun
har mayyat ke sirhane 'shohrat'
naghme chheDun jashn manaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.