be-basoñ par dayā nahīñ aatī
un ko ye hī adā nahīñ aatī
dostī ab nahīñ zarā ḳhud se
maut bhī bevafā nahīñ aatī
sab dikhāvā hai is zamāne meñ
is jahāñ ko hayā nahīñ aatī
kaaT kar ham daraḳht kahte haiñ
yaar kyūñkar havā nahīñ aatī
be-bason par daya nahin aati
un ko ye hi ada nahin aati
dosti ab nahin zara KHud se
maut bhi bewafa nahin aati
sab dikhawa hai is zamane mein
is jahan ko haya nahin aati
kaT kar hum daraKHt kahte hain
yar kyunkar hawa nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.