be-chehragi-e-umr-e-KHajalat bhi bahut hai
be-chehragī-e-umr-e-ḳhajālat bhī bahut hai
is dasht meñ girdāb kī sūrat bhī bahut hai
āñkheñ jo liye phirtā huuñ ai ḳhvāb-e-musalsal!
mere liye ye kār-e-aziyyat bhī bahut hai
tum zād-e-safar itnā uThāoge kahāñ tak
asbāb meñ ik ranj-e-masāfat bhī bahut hai
do saañs bhī ho jaa.eñ baham habs-e-badan meñ
ai 'umr-e-ravāñ itnī karāmat bhī bahut hai
kuchh ujrat-e-hastī bhī nahīñ apne mutābiq
kuchh kār-e-tanaffus meñ mashaqqat bhī bahut hai
ab maut mujhe maar ke kyā degī 'ġhazanfar'
āñkhoñ ko to ye ālam-e-hairat bhī bahut hai
be-chehragi-e-umr-e-KHajalat bhi bahut hai
is dasht mein girdab ki surat bhi bahut hai
aankhen jo liye phirta hun ai KHwab-e-musalsal!
mere liye ye kar-e-aziyyat bhi bahut hai
tum zad-e-safar itna uThaoge kahan tak
asbab mein ek ranj-e-masafat bhi bahut hai
do sans bhi ho jaen baham habs-e-badan mein
ai 'umr-e-rawan itni karamat bhi bahut hai
kuchh ujrat-e-hasti bhi nahin apne mutabiq
kuchh kar-e-tanaffus mein mashaqqat bhi bahut hai
ab maut mujhe mar ke kya degi 'ghazanfar'
aankhon ko to ye aalam-e-hairat bhi bahut hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 622)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.