be-chehragi ke shahr mein chehra talash kar
be-chehragī ke shahr meñ chehra talāsh kar
betāb regzār meñ saaya talāsh kar
mahrūmiyoñ kā apnī izāla talāsh kar
vaj.h-e-shikoh-o-shān-e-guzishta talāsh kar
jis se dil-o-dimāġh ko āsūdgī mile
daur-e-hayāt meñ vahī lamha talāsh kar
aahan pe sang-o-ḳhisht chalāne se fā.eda
mashq-e-sitam dikhāne ko shīsha talāsh kar
jis rasm se ‘urūs-e-vafā sharmsār ho
us rasm se farār kā rasta talāsh kar
pākī-e-rūh-o-tazkiyā-e-qalb ke liye
'irfān-e-zāt kā hī zarīya talāsh kar
hirs-o-havas kī dhuup basārat na chhīn le
'betāb' dil kī aañkh kā surma talāsh kar
be-chehragi ke shahr mein chehra talash kar
betab regzar mein saya talash kar
mahrumiyon ka apni izala talash kar
wajh-e-shikoh-o-shan-e-guzishta talash kar
jis se dil-o-dimagh ko aasudgi mile
daur-e-hayat mein wahi lamha talash kar
aahan pe sang-o-KHisht chalane se faeda
mashq-e-sitam dikhane ko shisha talash kar
jis rasm se ‘urus-e-wafa sharmsar ho
us rasm se farar ka rasta talash kar
paki-e-ruh-o-tazkiya-e-qalb ke liye
'irfan-e-zat ka hi zariya talash kar
hirs-o-hawas ki dhup basarat na chhin le
'betab' dil ki aankh ka surma talash kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.