be-diloñ kī aabrū rah jā.egī
dil na hogā aarzū rah jā.egī
tāqat-e-dīdār kitnī hī sahī
phir bhī tere rū-ba-rū rah jā.egī
DhūñDne vaalā hī ḳhud kho jā.egā
justujū hī justujū rah jā.egī
ḳhūn-e-dil ko kuchh agar taufīq ho
chashm-e-tar kī aabrū rah jā.egī
be-mahābā us ko ai 'nātiq' na dekh
ārzū-e-guftugū rah jā.egī
be-dilon ki aabru rah jaegi
dil na hoga aarzu rah jaegi
taqat-e-didar kitni hi sahi
phir bhi tere ru-ba-ru rah jaegi
DhunDne wala hi KHud kho jaega
justuju hi justuju rah jaegi
KHun-e-dil ko kuchh agar taufiq ho
chashm-e-tar ki aabru rah jaegi
be-mahaba us ko ai 'natiq' na dekh
aarzu-e-guftugu rah jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.