be-gharaz tujhse jo milta hoga
be-ġharaz tujh se jo miltā hogā
us kā dil pyaar kā dariyā hogā
shak jo ahbāb pe kartā hogā
us ko apne pe bhī dhokā hogā
saaf ubhar aa.e ḳhad-o-ḳhāl us ke
chehra ā.īne meñ dekhā hogā
de diyā vaqt pe dhokā us ne
jis ko samjhā thā ki apnā hogā
vo jo ḳhāmosh hai maġhmūm bhī hai
us ne har baat pe sochā hogā
aaj ham aap salāmat haiñ to bas
kis ko ma.alūm ki kal kyā hogā
kyā 'kamāl' us kī ḳhabar hai tujh ko
kal kitāboñ meñ tū bikhrā hogā
be-gharaz tujh se jo milta hoga
us ka dil pyar ka dariya hoga
shak jo ahbab pe karta hoga
us ko apne pe bhi dhoka hoga
saf ubhar aae KHad-o-KHal us ke
chehra aaine mein dekha hoga
de diya waqt pe dhoka us ne
jis ko samjha tha ki apna hoga
wo jo KHamosh hai maghmum bhi hai
us ne har baat pe socha hoga
aaj hum aap salamat hain to bas
kis ko malum ki kal kya hoga
kya 'kamal' us ki KHabar hai tujh ko
kal kitabon mein tu bikhra hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.