be-ghari ka apni ye izhaar kam kar dijiye
be-gharī kā apnī ye iz.hār kam kar dījiye
sher meñ zikr-e-dar-o-dīvār kam kar dījiye
apnī tanhā.ī meñ itnā bhī ḳhalal achchhā nahīñ
aap apne aap se guftār kam kar dījiye
dushmanoñ kī ḳhud-ba-ḳhud ho jā.egī ta.adād kam
yāroñ kī fihrist meñ kuchh yaar kam kar dījiye
jab tavajjoh hī nahīñ maujūdgī kis kaam kī
is kahānī meñ mirā kirdār kam kar dījiye
sochiye ab itne chāragar kahāñ se ā.eñge
muskurā kar apne kuchh bīmār kam kar dījiye
aap kī bātoñ meñ aa kar jaan se to jā chuke
ab to in meñ zahr kī miqdār kam kar dījiye
be-ghari ka apni ye izhaar kam kar dijiye
sher mein zikr-e-dar-o-diwar kam kar dijiye
apni tanhai mein itna bhi KHalal achchha nahin
aap apne aap se guftar kam kar dijiye
dushmanon ki KHud-ba-KHud ho jaegi tadad kam
yaron ki fihrist mein kuchh yar kam kar dijiye
jab tawajjoh hi nahin maujudgi kis kaam ki
is kahani mein mera kirdar kam kar dijiye
sochiye ab itne chaaragar kahan se aaenge
muskura kar apne kuchh bimar kam kar dijiye
aap ki baaton mein aa kar jaan se to ja chuke
ab to in mein zahr ki miqdar kam kar dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.