be-gunahi ki saza denge tere shahr ke log
be-gunāhī kī sazā deñge tire shahr ke log
mujh ko dīvāna banā deñge tire shahr ke log
shāh-rāhoñ pe hamesha na milā kar mujh se
tujh pe ilzām lagā deñge tire shahr ke log
tū mirā zikr na kar merā kahīñ naam na le
aag paanī meñ lagā deñge tire shahr ke log
shaam hote hī dimāġhoñ pe junūñ chhā.egā
koī afvāh uḌā deñge tire shahr ke log
merī āñkhoñ meñ TaToleñge sab apne chehre
aa.ina mujh ko banā deñge tire shahr ke log
aa ke baiThūñgā kisī din jo ghaḌī bhar ke liye
tere āñgan se uThā deñge tire shahr ke log
hādisa raat kā huuñ maiñ mirī vaq.at kyā hai
sub.h hote hī bhulā deñge tire shahr ke log
jāntā huuñ mujhe pyāsā to na rahne deñge
kam se kam zahr pilā deñge tire shahr ke log
apne kāñdhoñ pe uThā.e hue jaate haiñ 'azīz'
mujh ko miTTī meñ milā deñge tire shahr ke log
be-gunahi ki saza denge tere shahr ke log
mujh ko diwana bana denge tere shahr ke log
shah-rahon pe hamesha na mila kar mujh se
tujh pe ilzam laga denge tere shahr ke log
tu mera zikr na kar mera kahin nam na le
aag pani mein laga denge tere shahr ke log
sham hote hi dimaghon pe junun chhaega
koi afwah uDa denge tere shahr ke log
meri aankhon mein TaTolenge sab apne chehre
aaina mujh ko bana denge tere shahr ke log
aa ke baiThunga kisi din jo ghaDi bhar ke liye
tere aangan se uTha denge tere shahr ke log
hadisa raat ka hun main meri waqat kya hai
subh hote hi bhula denge tere shahr ke log
jaanta hun mujhe pyasa to na rahne denge
kam se kam zahr pila denge tere shahr ke log
apne kandhon pe uThae hue jate hain 'aziz'
mujh ko miTTi mein mila denge tere shahr ke log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.