be-hijabana kabhi dawat-e-didar bhi de
be-hijābāna kabhī dāvat-e-dīdār bhī de
lazzat-e-ishq bhī de ishq kā āzār bhī de
masnad-e-ilm-o-adab par mutamakkin farmā
naġhma-o-sher bhī de ḳhāma-e-gul-kār bhī de
tāq-e-har-bazm meñ rakh sham.a banā kar mujh ko
aur parvāna-sifat lazzat-e-āzār bhī de
gul kī mānind ḳhamoshī ke bhī ādāb sikhā
aur bulbul kī tarah shoḳhī-e-guftār bhī de
toḌ de gāhe-ba-gāhe mirī hastī kā ḳhumār
dil jo garmā de kabhī vo mai-e-gulnār bhī de
kohsāroñ meñ phirūñ gaah chaman meñ bhī rahūñ
dasht-e-pur-ḳhār bhī de gulshan-e-be-ḳhār bhī de
maiñ huuñ gar ġhuncha to gulshan meñ khilā de mujh ko
mast kar de jo zamāne ko vo mahkār bhī de
daulat-e-faqr bhī de aur shahanshāhī bhī
barg-e-gul de mire hāthoñ meñ to talvār bhī de
husn-e-fitrat ke ḳhazānoñ ko luTā de mujh par
zor-e-tahrīr bhī de ḳhāma-e-gul-kār bhī de
be-hijabana kabhi dawat-e-didar bhi de
lazzat-e-ishq bhi de ishq ka aazar bhi de
masnad-e-ilm-o-adab par mutamakkin farma
naghma-o-sher bhi de KHama-e-gul-kar bhi de
taq-e-har-bazm mein rakh shama bana kar mujh ko
aur parwana-sifat lazzat-e-azar bhi de
gul ki manind KHamoshi ke bhi aadab sikha
aur bulbul ki tarah shoKHi-e-guftar bhi de
toD de gahe-ba-gahe meri hasti ka KHumar
dil jo garma de kabhi wo mai-e-gulnar bhi de
kohsaron mein phirun gah chaman mein bhi rahun
dasht-e-pur-KHar bhi de gulshan-e-be-KHar bhi de
main hun gar ghuncha to gulshan mein khila de mujh ko
mast kar de jo zamane ko wo mahkar bhi de
daulat-e-faqr bhi de aur shahanshahi bhi
barg-e-gul de mere hathon mein to talwar bhi de
husn-e-fitrat ke KHazanon ko luTa de mujh par
zor-e-tahrir bhi de KHama-e-gul-kar bhi de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.