be-hijabana wo kal jab bar-sar-e-mahfil gae
be-hijābāna vo kal jab bar-sar-e-mahfil ga.e
jitne murjhā.e the chehre ek dam se khil ga.e
yaar vo nāzuk hai itnā maiñ ne us ke aane par
farsh phūloñ kā bichhāyā paañv phir bhī chhil ga.e
jaane us āvāz meñ kaisī shifā maujūd hai
us ne pūchhā Thiik ho aur zaḳhm ḳhud hī sil ga.e
vo jo apnī be-tukī bātoñ se hī mash.hūr hai
us kī bāteñ sunñe ko sab shahr ke 'āqil ga.e
sirf us ke husn kī ḳhairāt lene ke liye
ban ke shāhān-e-zamāna bhī vahāñ saa.il ga.e
baiThe baiThe us ne naddī meñ Dubo.e paañv aur
dekhte hī dekhte donoñ kināre mil ga.e
apnī manzil paane vāloñ meñ vahī kuchh log haiñ
rauñd kar apnī anā jo jānib-e-manzil ga.e
be-hijabana wo kal jab bar-sar-e-mahfil gae
jitne murjhae the chehre ek dam se khil gae
yar wo nazuk hai itna main ne us ke aane par
farsh phulon ka bichhaya panw phir bhi chhil gae
jaane us aawaz mein kaisi shifa maujud hai
us ne puchha Thik ho aur zaKHm KHud hi sil gae
wo jo apni be-tuki baaton se hi mashhur hai
us ki baaten sunne ko sab shahr ke 'aqil gae
sirf us ke husn ki KHairaat lene ke liye
ban ke shahan-e-zamana bhi wahan sail gae
baiThe baiThe us ne naddi mein Duboe panw aur
dekhte hi dekhte donon kinare mil gae
apni manzil pane walon mein wahi kuchh log hain
raund kar apni ana jo jaanib-e-manzil gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.