be-hisi chehre ki lahje ki udasi le gaya
be-hisī chehre kī lahje kī udāsī le gayā
vo mire andar kī saarī bad-havāsī le gayā
fasl sho.aloñ kī ugānā chāhtā thā shahr meñ
maañg kar jo aag kal mujh se zarā sī le gayā
sub.h ke aḳhbār kī surḳhī ne chauñkāyā magar
raat kā ik ḳhvāb saarī bad-havāsī le gayā
aaj to sūraj bhī mere ba.ad hī jaagā 'salīm'
kaun phir gul-dān ke sab phuul baasī le gayā
be-hisi chehre ki lahje ki udasi le gaya
wo mere andar ki sari bad-hawasi le gaya
fasl shoalon ki ugana chahta tha shahr mein
mang kar jo aag kal mujh se zara si le gaya
subh ke aKHbar ki surKHi ne chaunkaya magar
raat ka ek KHwab sari bad-hawasi le gaya
aaj to suraj bhi mere baad hi jaga 'salim'
kaun phir gul-dan ke sab phul basi le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.