be-hisi rahti hai jab madd-e-muqabil tanha
be-hisī rahtī hai jab madd-e-muqābil tanhā
zindagī DhūñDhtī rah jaatī hai manzil tanhā
sab ne to baañT lī hai sub.h-e-masarrat mil kar
tai kiye ham ne shab-e-ġham ke marāhil tanhā
yaad aa jaatī hai us vaqt dabe paañv tirī
jab kabhī rahtī hai ye bārgah-e-dil tanhā
ḳhauf-e-girdāb-e-talātum thā jinheñ bhaag ga.e
bas khaḌā rah gayā maiñ hī sar-e-sāhil tanhā
aur baḌh jaatī hai ye kashmakash-e-dil 'bismil'
jab bhī jaatā huuñ sū-e-kūcha-e-qātil tanhā
be-hisi rahti hai jab madd-e-muqabil tanha
zindagi DhunDhti rah jati hai manzil tanha
sab ne to banT li hai subh-e-masarrat mil kar
tai kiye hum ne shab-e-gham ke marahil tanha
yaad aa jati hai us waqt dabe panw teri
jab kabhi rahti hai ye bargah-e-dil tanha
KHauf-e-girdab-e-talatum tha jinhen bhag gae
bas khaDa rah gaya main hi sar-e-sahil tanha
aur baDh jati hai ye kashmakash-e-dil 'bismil'
jab bhi jata hun su-e-kucha-e-qatil tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.