be-iKHtiyar hum jo sar-e-bazm ro diye
be-iḳhtiyār ham jo sar-e-bazm ro diye
kitne sunahre ḳhvāb in āñkhoñ ne kho diye
tanhā.iyoñ kī dhuup meñ yādoñ kī ye phuvār
jaise kisī ne dil ke sabhī zaḳhm dho diye
phir aaj kyoñ havā.eñ ye sahmī huī sī haiñ
kis ne ye phir fazāoñ meñ nashtar chubho diye
ai dost kuchh to baat kā mafhūm bhī batā
lafzoñ ke haar tū ne bahut ab piro diye
shāyad tirī vafāoñ meñ koī kamī huī
ai 'chāñd' tū ne yaar purāne jo kho diye
be-iKHtiyar hum jo sar-e-bazm ro diye
kitne sunahre KHwab in aankhon ne kho diye
tanhaiyon ki dhup mein yaadon ki ye phuwar
jaise kisi ne dil ke sabhi zaKHm dho diye
phir aaj kyon hawaen ye sahmi hui si hain
kis ne ye phir fazaon mein nashtar chubho diye
ai dost kuchh to baat ka mafhum bhi bata
lafzon ke haar tu ne bahut ab piro diye
shayad teri wafaon mein koi kami hui
ai 'chand' tu ne yar purane jo kho diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.