be-intiha jale hain tujhe DhunDte hue
be-intihā jale haiñ tujhe DhūñDte hue
ranj-o-alam baḌhe haiñ tujhe DhūñDte hue
kuchh bhī to terī yaad meñ achchhā nahīñ rahā
ham dar-ba-dar phire haiñ tujhe DhūñDte hue
chashm-e-talāsh se bhī tū aage nikal gayā
ham to vahīñ khaḌe haiñ tujhe DhūñDte hue
maḳhsūs ik madār meñ rahte the sāda-dil
bāhar nikal paḌe haiñ tujhe DhūñDte hue
ham ko tirī talāsh baḌī saḳht-jān hai
din raat ro rahe haiñ tujhe DhūñDte hue
vo rāsta ki jis kī na manzil kā kuchh patā
us par bhī ham chale haiñ tujhe DhūñDte hue
kal shab tire visāl kī ummīd bhī ga.ī
phir ashk-e-ḳhūñ bahe haiñ tujhe DhūñDte hue
'ābir' yaqīn-e-qalb se ik bārgāh meñ
ham bārhā jhuke haiñ tujhe DhūñDte hue
be-intiha jale hain tujhe DhunDte hue
ranj-o-alam baDhe hain tujhe DhunDte hue
kuchh bhi to teri yaad mein achchha nahin raha
hum dar-ba-dar phire hain tujhe DhunDte hue
chashm-e-talash se bhi tu aage nikal gaya
hum to wahin khaDe hain tujhe DhunDte hue
maKHsus ek madar mein rahte the sada-dil
bahar nikal paDe hain tujhe DhunDte hue
hum ko teri talash baDi saKHt-jaan hai
din raat ro rahe hain tujhe DhunDte hue
wo rasta ki jis ki na manzil ka kuchh pata
us par bhi hum chale hain tujhe DhunDte hue
kal shab tere visal ki ummid bhi gai
phir ashk-e-KHun bahe hain tujhe DhunDte hue
'abir' yaqin-e-qalb se ek bargah mein
hum barha jhuke hain tujhe DhunDte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.