be-irada jo teri yaad kabhi aati hai
be-irāda jo tirī yaad kabhī aatī hai
bhuul jaane ke irāde pe hañsī aatī hai
bhiig jaatī haiñ ab āñkheñ jo hañsī aatī hai
ġham kā ehsās baḌhāne ko ḳhushī aatī hai
aaj tak ho na sakī zauq-e-ḳhalish kī takmīl
aaj tak yaad tirī kam-nigahī aatī hai
aap sunte to haiñ rūdād-e-ġham-e-‘ishq magar
dekhiye dekhiye āñkhoñ meñ namī aatī hai
dil kabhī ho na sakegā tahī-armāñ ki 'hazīñ'
kahīñ sarmāya-e-ġham meñ bhī kamī aatī hai
be-irada jo teri yaad kabhi aati hai
bhul jaane ke irade pe hansi aati hai
bhig jati hain ab aankhen jo hansi aati hai
gham ka ehsas baDhane ko KHushi aati hai
aaj tak ho na saki zauq-e-KHalish ki takmil
aaj tak yaad teri kam-nigahi aati hai
aap sunte to hain rudad-e-gham-e-‘ishq magar
dekhiye dekhiye aankhon mein nami aati hai
dil kabhi ho na sakega tahi-arman ki 'hazin'
kahin sarmaya-e-gham mein bhi kami aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.