be-kar bhi is daur mein be-kar nahin hai
be-kār bhī is daur meñ be-kār nahīñ hai
dīvāna hai vo kaun jo hushyār nahīñ hai
is daur-e-taraqqī pe bahut naaz na kiije
is daur meñ sab kuchh hai magar pyaar nahīñ hai
har chiiz kī bohtāt hai is daur meñ lekin
vo chiiz jise kahte haiñ kirdār nahīñ hai
is baat pe nārāz haiñ nā-ḳhush haiñ khiñche haiñ
vo baat ki jis baat kā iz.hār nahīñ hai
ye baat hai kuchh aur ki dil zaḳhmī hai us kā
sūrat se to 'qādir' tirā bīmār nahīñ hai
be-kar bhi is daur mein be-kar nahin hai
diwana hai wo kaun jo hushyar nahin hai
is daur-e-taraqqi pe bahut naz na kije
is daur mein sab kuchh hai magar pyar nahin hai
har chiz ki bohtat hai is daur mein lekin
wo chiz jise kahte hain kirdar nahin hai
is baat pe naraaz hain na-KHush hain khinche hain
wo baat ki jis baat ka izhaar nahin hai
ye baat hai kuchh aur ki dil zaKHmi hai us ka
surat se to 'qadir' tera bimar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.