be-kaif roz-o-shab bhi tumhaara KHayal bhi
be-kaif roz-o-shab bhī tumhārā ḳhayāl bhī
pahlū meñ tum bhī aur dil-e-pā.emāl bhī
ham TūTte hī jaate haiñ har roz roz-o-shab
go mere sāmne hai tumhārī misāl bhī
jiine ke tarz-o-taur pe maazī kī hai giraft
ab zehn-e-pā.emāl se maazī nikāl bhī
bālā.ī manziloñ se manāzir haiñ ḳhūb-tar
buniyād pe hai zarb imārat sañbhāl bhī
sikke ke donoñ ruḳh pe hamāre nishān haiñ
angusht-e-ḳhush-ḳhabar se vo sikka uchhāl bhī
insān bhī parind bhī sunñe ko be-qarār
dā.ūdī lahn aur azān-e-bilāl bhī
ab aa ke sar-nigūñ bhī hoī haiñ huzūr meñ
jab un ke paas kuchh na rahe yarġhamāl bhī
sabz aur niile rang kā joḌā ġhazab huā
vo chehra bhī gulāb thā aur lab the laal bhī
kab tak raheñ udaas raheñ kab tilak malūl
ab thoḌā dhaul-dhappā ho thoḌā dhamāl bhī
be-kaif roz-o-shab bhi tumhaara KHayal bhi
pahlu mein tum bhi aur dil-e-paemal bhi
hum TuTte hi jate hain har roz roz-o-shab
go mere samne hai tumhaari misal bhi
jine ke tarz-o-taur pe mazi ki hai giraft
ab zehn-e-paemal se mazi nikal bhi
baalai manzilon se manazir hain KHub-tar
buniyaad pe hai zarb imarat sanbhaal bhi
sikke ke donon ruKH pe hamare nishan hain
angusht-e-KHush-KHabar se wo sikka uchhaal bhi
insan bhi parind bhi sunne ko be-qarar
daudi lahn aur azan-e-bilal bhi
ab aa ke sar-nigun bhi hoi hain huzur mein
jab un ke pas kuchh na rahe yarghamal bhi
sabz aur nile rang ka joDa ghazab hua
wo chehra bhi gulab tha aur lab the lal bhi
kab tak rahen udas rahen kab tilak malul
ab thoDa dhaul-dhappa ho thoDa dhamal bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.