be-kasi-e-sahar-o-sham pe hans deta hun
be-kasī-e-sahar-o-shām pe hañs detā huuñ
ġhurbat-e-gardish-e-ayyām pe hañs detā huuñ
taan ho tanz ho tahqīr ho yā ho tazlīl
un kī har baat pe har kaam pe hañs detā huuñ
rote haiñ sāġhar-e-labrez bhī le kar kuchh rind
maiñ magar apne tahī jaam pe hañs detā huuñ
qissa-e-dard ko karte hue zabt-e-tahrīr
rote rote bhī tire naam pe hañs detā huuñ
ziist meñ jab nahīñ aatī kisī 'unvāñ pe hañsī
aap apne dil-e-nākām pe hañs detā huuñ
har tarah ḳhātir-e-sayyād hai manzūr 'kalīm'
dil to hai mā.il-e-kohrām pa hañs detā hai
be-kasi-e-sahar-o-sham pe hans deta hun
ghurbat-e-gardish-e-ayyam pe hans deta hun
tan ho tanz ho tahqir ho ya ho tazlil
un ki har baat pe har kaam pe hans deta hun
rote hain saghar-e-labrez bhi le kar kuchh rind
main magar apne tahi jam pe hans deta hun
qissa-e-dard ko karte hue zabt-e-tahrir
rote rote bhi tere nam pe hans deta hun
zist mein jab nahin aati kisi 'unwan pe hansi
aap apne dil-e-nakaam pe hans deta hun
har tarah KHatir-e-sayyaad hai manzur 'kalim'
dil to hai mail-e-kohram pa hans deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.