be-KHabar apne muqaddar se raha pahle-pahal
be-ḳhabar apne muqaddar se rahā pahle-pahal
jab qadam shahr-e-zuleḳhā meñ rakhā pahle-pahal
bāzgasht us kī haiñ jitnī bhī ye āvāzeñ haiñ
har taraf guuñj ga.ī ek sadā pahle-pahal
apnī manzil kā vahīñ ho gayā irfān mujhe
jab milā raah meñ ik naqsh-e-vafā pahle-pahal
log pahchān na paa.e kisī dīvāne ko
jaane kis tarah ye dastūr banā pahle-pahal
aaj har shaḳhs ko da.avā hai ḳhudā.ī kā yahāñ
jab ki har shaḳhs kā thā ek ḳhudā pahle-pahal
be-KHabar apne muqaddar se raha pahle-pahal
jab qadam shahr-e-zuleKHa mein rakha pahle-pahal
bazgasht us ki hain jitni bhi ye aawazen hain
har taraf gunj gai ek sada pahle-pahal
apni manzil ka wahin ho gaya irfan mujhe
jab mila rah mein ek naqsh-e-wafa pahle-pahal
log pahchan na pae kisi diwane ko
jaane kis tarah ye dastur bana pahle-pahal
aaj har shaKHs ko dawa hai KHudai ka yahan
jab ki har shaKHs ka tha ek KHuda pahle-pahal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.